Har Dua Kabool Honay Ka Amal

Har Dua Kabool Honay Ka Amal ,” Agar koi shukhs ye chahta ho ke us ki har dua kabool ho yani har jaez dua tou usay chahiye ke woh Ya Mubeebu 220 martaba rozana sotay waqt parhnay ka mamool bana lay Insha’Allah us ki har jaez dua kabool ho gi. Aik amil ka qol hai ke agar koi shukhs Ya Mujeebu ko jumma, friday ke din 100 baar likh kar Ya Mujeebu ka taveez bana kar apne paas rakhay tou jo dua mangay ga kabool ho gi. Aur jo baat kisi se kahay ga wohi manzoor ho gi. Aik bazurg ka qol hai ke dua ke aghaaz main Ya Mujeebu 11 martaba parhain is ke baad jo dua mangni ho mangain akhir main phir gayarah martaba Ya Mujeebu ka wird karain yani ye Ism parhain. Insha’Allah dua kabool ho gi.